sab apne apne tariqe se bhik mangte hain
koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq
Abid Wadood
sar par gire makan ka malba hi rakh liya
duniya ke qimti sar-o-saman se gae
Abid Wadood
shahr ye sayon ka hai is mein bani-adam kahan
ab kisi surat yahan insan hona chahiye
Abid Wadood
tere hathon mein hai teri qismat
teri izzat tere hi kaam se hai
Abid Wadood
yazid-e-waqt ne ab ke lagai hai qadghan
ki bhul kar bhi na gae koi tarana-e-ishq
Abid Wadood
sochta hun kuchh amal karta hun kuchh
mujh mein koi dusra maujud hai
Abrar Abid
har lae hain hum aankh mein rakhne ko muqabil
ek KHwab-e-tamanna teri ghaflat ke baraba
Abrar Ahmad