har baat hai 'KHalid' ki zamane se nirali
bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka
Abdul Aziz Khalid
masjid mein gar guzar na hua dair hi sahi
bekar baiThe kyun rahen ek sair hi sahi
Abdul Ghafoor Nassakh
piri mein shauq hausla-farsa nahin raha
wo dil nahin raha wo zamana nahin raha
Abdul Ghafoor Nassakh
un ke dil ki kudurat aur baDhi
zikr kijiye agar safai ka
Abdul Ghafoor Nassakh
zahiran maut hai qaza hai ishq
par haqiqat mein jaan-fazan hai ishq
Abdul Ghafoor Nassakh
husn ek dariya hai sahra bhi hain us ki rah mein
kal kahan hoga ye dariya ye bhi to socho zara
Abdul Hafiz Naeemi
khaDa hua hun sar-e-rah muntazir kab se
ki koi guzre to gham ka ye bojh uThwa de
Abdul Hafiz Naeemi