sher achchhe bhi kaho sach bhi kaho kam bhi kaho
dard ki daulat-e-nayab ko ruswa na karo
Abdul Ahad Saaz
shikast-e-wada ki mahfil ajib thi teri
mera na hona tha barpa tere na aane mein
Abdul Ahad Saaz
shoalon se be-kar Daraate ho hum ko
guzre hain hum sard jahannam-zaron se
Abdul Ahad Saaz
wo to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar?
kya ghazab hai koi us shoKH ke jaisa bhi nahin
Abdul Ahad Saaz
yaadon ke naqsh ghul gae tezab-e-waqt mein
chehron ke nam dil ki KHalaon mein kho gae
Abdul Ahad Saaz
zamane sabz o surKH o zard guzre
zamin lekin wahi KHakistari hai
Abdul Ahad Saaz
aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat