main baDhte baDhte kisi roz tujh ko chhu leta
ki gin ke rakh diye tu ne meri majal ke din
Abdul Ahad Saaz
main ek saat-e-be-KHud mein chhu gaya tha jise
phir us ko lafz tak aate hue zamane lage
Abdul Ahad Saaz
mere mah o sal ki kahani ki dusri qist is tarah hai
junun ne ruswaiyan likhi thin KHirad ne tanhaiyan likhi hain
Abdul Ahad Saaz
meri rafiq-e-nafas maut teri umr daraaz
ki zindagi ki tamanna hai dil mein afzun phi
Abdul Ahad Saaz
muflisi bhuk ko shahwat se mila deti hai
gandumi lams mein hai zaiqa-e-nan-e-jawin
Abdul Ahad Saaz
mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb
mera tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai
Abdul Ahad Saaz
nazar ki maut ek taza alamiya
aur itne mein nazara mar raha hai
Abdul Ahad Saaz