ghar wale mujhe ghar par dekh ke KHush hain aur wo kya jaanen
main ne apna ghar apne maskan se alag kar rakkha hai
Abdul Ahad Saaz
jaise koi daera takmil par hai
in dinon mujh par guzishta ka asar hai
Abdul Ahad Saaz
jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
jis ghaDi fath ka ailan hua haar gaya
Abdul Ahad Saaz
jin ko KHud ja ke chhoD aae qabron mein hum
un se raste mein muDbheD hoti rahi
Abdul Ahad Saaz
KHabar ke moD pe sang-e-nishan thi be-KHabari
Thikane aae mere hosh ya Thikane lage
Abdul Ahad Saaz
KHirad ki rah jo chala main to dil ne mujh se kaha
aziz-e-man ba-salamat-rawi o baz-ai
Abdul Ahad Saaz
la se la ka safar tha to phir kis liye
har KHam-e-rah se jaan ulajhti rahi
Abdul Ahad Saaz