kis jurm-e-arzu ki saza hai ye zindagi
aisa to ai KHuda main gunahgar bhi nahin
Akhtar Saeed Khan
kis ko fursat thi ki 'aKHtar' dekhta meri taraf
main jahan jis bazm mein jab tak raha tanha raha
Akhtar Saeed Khan
kisi ke tum ho kisi ka KHuda hai duniya mein
mere nasib mein tum bhi nahin KHuda bhi nahin
Akhtar Saeed Khan
main safar mein hun magar samt-e-safar koi nahin
kya main KHud apna hi naqsh-e-kaf-e-pa hun kya hun
Akhtar Saeed Khan
mera fasana har ek dil ka majra to na tha
suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga
Akhtar Saeed Khan
mujhe ab dekhti hai zindagi yun be-niyazana
ki jaise puchhti ho kaun ho tum justuju kya hai
Akhtar Saeed Khan
na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye
tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin
Akhtar Saeed Khan