zindagi kya hue wo apne zamane wale
yaad aate hain bahut dil ko dukhane wale
Akhtar Saeed Khan
jab tishnagi baDhi to masiha na tha koi
jab pyas bujh gai to samundar mila mujhe
Akhtar Saeedi
kabhi KHayal ki surat kabhi saba ki tarah
wo kaun hai jo mere sath sath chalta hai
Akhtar Saeedi
mujhe hasil kamal-e-guftugu hai
ye main hun ya mere lahje mein tu hai
Akhtar Saeedi
awan-dawan hai zindagi charagh ke baghair bhi
hai mere ghar mein raushni charagh ke baghair bhi
Akhtar Saeedi
yahi ek mashghala hai zindagi ka
taaqub kar raha hun raushni ka
Akhtar Saeedi
zaKHm-e-nigah zaKHm-e-hunar zaKHm-e-dil ke baad
ek aur zaKHm tujh se bichhaD kar mila mujhe
Akhtar Saeedi