zamane se mohabbat ka abhi tak
ye hasil hai ki kuchh hasil nahin hai
Akhlaque Bandvi
chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin
suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne
Akhtar Ali Akhtar
fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe
naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe
Akhtar Ali Akhtar
guftugu-e-surat-o-mani hai unwan-e-hayat
khelte hain wo meri fitrat ki hairani ke sath
Akhtar Ali Akhtar
mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne
Akhtar Ali Akhtar
tum ne har zarre mein barpa kar diya tufan-e-shauq
ek tabassum is qadar jalwon ki tughyani ke sath
Akhtar Ali Akhtar
adan ke shahar mein aabaad ek darinda hai
agarche dekhne mein kitna KHush-libas bhi hai
Akhtar Amaan