sitaron ki gardish dilon ka bichhaDna
ye kaise KHuda ki hai kaisi KHudai
Akhlaq Ahmad Ahan
tere firaq mein hum ne bahae ashk-e-jigar
ye sab ne chaha magar aae to lahu aae
Akhlaq Ahmad Ahan
wo jadu adaen adaon mein jadu
ye pahunchaen hum ko fana se baqa tak
Akhlaq Ahmad Ahan
ye kaisi jagah hai ki dil kho raha hai
bayaban hai sahra hai gulshan hai kya hai
Akhlaq Ahmad Ahan
kisi ke lams ki tasir hai ki barson baad
meri kitabon mein ab bhi gulab jagte hain
Akhlaque Bandvi
kya tujhe ilm nahin teri raza ki KHatir
main ne kis kis ko zamane mein KHafa rakkha hai
Akhlaque Bandvi
umr lag jati hai ek ghar ko banane mein hamein
makaDiyan rose hi bun leti hain jale kaise
Akhlaque Bandvi