اردو हिंदी
Harim-kaba bana di wo sar-zamin maine | Shaahi Shayari
harim-kaba bana di wo sar-zamin maine

Ghazal

Harim-kaba bana di wo sar-zamin maine

Akhtar Ali Akhtar

;

harim-kaba bana di wo sar-zamin main ne
tere KHayal mein rakh di jahan jabin main ne

mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
wo husn jis ko kiya jalwa-afrin main ne

chaTak mein ghunche ki wo saut-e-jaan-faza to nahin
suni hai pahle bhi aawaz ye kahin main ne

rahin-e-manzil-e-wahm-o-guman raha 'aKHtar'
isi mein DhunDh liya jada-e-yaqin main ne