kai diwan kah chuka 'hatim'
ab talak par zaban nahin hai durust
Shaikh Zahuruddin Hatim
kai farhad hain juya tere shirin lab ke
kai yusuf hain zanaKHdan ke chahon ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
kai farhad hain juya tere shirin lab ke
kai yusuf hain zanaKHdan ke chahon ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
kab ye dil o dimagh hai minnat-e-shama khinchiye
KHana-e-dil-jalon ke bich dagh-e-jigar charagh hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu jo shaiKH dikhaun main apne but ke tain
ba-rabb-e-kaba tujhe hasrat-e-haram na rahe
Shaikh Zahuruddin Hatim

