jis ne paya use so hai KHamosh
jis ne paya nahin so bakta hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
jis taraf ko main gaya rota hua
ta-falak ru-e-zamin dariya hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
jo azal mein qalam chali so chali
bad hua ya niko hua so hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
jo azal mein qalam chali so chali
bad hua ya niko hua so hua
Shaikh Zahuruddin Hatim
jo ji mein aawe to Tuk jhank apne dil ki taraf
ki us taraf ko idhar se bhi rah nikle hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
junun hai fauj fauj aur is taraf 'hatim' akela hai
nahin kui tujh baghair ab ai mere allah kya kije
Shaikh Zahuruddin Hatim
junun hai fauj fauj aur is taraf 'hatim' akela hai
nahin kui tujh baghair ab ai mere allah kya kije
Shaikh Zahuruddin Hatim

