jama uryani ka qamat par meri aaya hai rast
ab mujhe nam-e-libas-e-ariyat se nang hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
jaane na pae us ko jahan ho tahan se lao
ghar mein na ho to kucha o bazar dekhna
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab hue 'hatim' hum us se aashna
dost bhi dushman hamare ho gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab hue 'hatim' hum us se aashna
dost bhi dushman hamare ho gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab pukare hai wo abe o hot
aashiq apna KHitab jaane hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab se teri nazar paDi hai jhalak
tab se lagti nahin palak se palak
Shaikh Zahuruddin Hatim
jab se teri nazar paDi hai jhalak
tab se lagti nahin palak se palak
Shaikh Zahuruddin Hatim

