is qadar bas-ki roz milne se
KHatiron mein ghubar aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
is qadar bas-ki roz milne se
KHatiron mein ghubar aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
is qadar ki sarf tasKHir-e-pari-ruyan mein umr
rafta rafta nam mera ab pari-KHwan ho gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas
dekh kar ahwal-e-alam uDte jate hain hawas
Shaikh Zahuruddin Hatim
ishq hai darushshifa aur dard hai us ka tabib
jo nahin is marz ka talib sada ranjur hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ishq ki rah mein main mast ki tarah
kuchh nahin dekhta buland aur past
Shaikh Zahuruddin Hatim
ishq ki rah mein main mast ki tarah
kuchh nahin dekhta buland aur past
Shaikh Zahuruddin Hatim

