agar rote na hum to dekhte tum
jahan mein naw ko dariya na hota
Shaikh Zahuruddin Hatim
agar rote na hum to dekhte tum
jahan mein naw ko dariya na hota
Shaikh Zahuruddin Hatim
ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim
ai KHirad-mando mubarak ho tumhein farzangi
hum hon aur sahra ho aur hairat ho aur diwangi
Shaikh Zahuruddin Hatim
ai KHirad-mando mubarak ho tumhein farzangi
hum hon aur sahra ho aur hairat ho aur diwangi
Shaikh Zahuruddin Hatim
ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ai musalmano baDa kafir hai wo
jo na howe zulf-giran ka mutia
Shaikh Zahuruddin Hatim

