zabanen thak chukin patthar hue kan
kahani an-kahi thi an-kahi hai
Shahzad Ahmad
zabanen thak chukin patthar hue kan
kahani an-kahi thi an-kahi hai
Shahzad Ahmad
zamin naw meri baadban mere aflak
main in ko chhoD ke sahil pe kab utarta hun
Shahzad Ahmad
zara labon ke tabassum se bazm garmaen
hamein to aap ki aankhon ki chup ne mar diya
Shahzad Ahmad
zara labon ke tabassum se bazm garmaen
hamein to aap ki aankhon ki chup ne mar diya
Shahzad Ahmad
zara sa gham hua aur ro diye hum
baDi nazuk tabiat ho gai hai
Shahzad Ahmad
kal bazm mein sab par nigah-e-lutf-o-karam thi
ek meri taraf tu ne sitamgar na dekha
Shaikh Mohammad Roshan Joshish Lakhnavi

