a-tang aaya hun is jahil ke hathon is qadar 'hatim'
ki pani mein kitabon ke Dubone ki nahin fursat
Shaikh Zahuruddin Hatim
a-tang aaya hun is jahil ke hathon is qadar 'hatim'
ki pani mein kitabon ke Dubone ki nahin fursat
Shaikh Zahuruddin Hatim
ul-hawas go karen tere lab-e-shirin par hujum
talKH mat ho ki miThai se magas aati hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai
chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai
chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
chala ja mohtasib masjid mein 'hatim' se na bahsa kar
ki taat us ke mashrab mein surahi aur pyala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
chala jata tha 'hatim' aaj kuchh wahi-tabahi sa
jo dekha hath mein us ke tere shikwe ka daftar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim

