kabhi sochun ki KHud main lauT aaun
kabhi sochun ki aisa kyun karun main
Ain Irfan
karta hai kar-e-raushni mujh ko jala ke din
karti hai kar-e-tirgi mujh ko bujha ke raat
Ain Irfan
meri taraf sabhi ki nigahen thin aur main
jis kashmakash mein sab the usi kashmakash mein tha
Ain Irfan
mera wajud jo patthar dikhai deta hai
tamam umr ki shishagari ka hasil hai
Ain Irfan
tishnagi pine ki shab thi
aabju hone ka din tha
Ain Irfan
ye kaun waqt ki surat mujhe badalta hai
ye kya kisi ke liye kuchh hun kuchh kisi ke liye
Ain Salam
aaj bhi us ke mere bich hai duniya hail
aaj bhi us ke mere bich ki mushkil hai wahi
Ain Tabish