اردو हिंदी
Yun baDi der se paimana liye baiTha hun | Shaahi Shayari
yun baDi der se paimana liye baiTha hun

Ghazal

Yun baDi der se paimana liye baiTha hun

Qaisar-ul-Jafri

;

yun baDi der se paimana liye baiTha hun
koi dekhe to ye samjhe ki piye baiTha hun

aaKHiri naw na aai to kahan jaunga
sham se par utarne ke liye baiTha hun

mujh ko malum hai sach zahr lage hai sab ko
bol sakta hun magar honT siye baiTha hun

log bhi ab mere darwaze pe kam aate hain
main bhi kuchh soch ke zanjir diye baiTha hun

zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale
main abhi tak teri taswir liye baiTha hun

kam se kam ret se aankhen to bachengi 'qaisar'
main hawaon ki taraf piTh kiye baiTha hun