haweliyan bhi hain karen bhi kar-KHane bhi
bas aadmi ki kami dekhta hun shahron mein
Parveen Kumar Ashk
kisi kisi ko thamata hai chabiyan ghar ki
KHuda har ek ko apna pata nahin deta
Parveen Kumar Ashk
phaldar tha to ganw use pujta raha
sukha to qatl ho gaya wo be-zaban daraKHt
Parveen Kumar Ashk
zamin ko ai KHuda wo zalzala de
nishan tak sarhadon ke jo miTa de
Parveen Kumar Ashk
aamad pe teri itr o charagh o subu na hon
itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya
Parveen Shakir
ab to is rah se wo shaKHs guzarta bhi nahin
ab kis ummid pe darwaze se jhanke koi
Parveen Shakir
ab un darichon pe gahre dabiz parde hain
wo tank-jhank ka masum silsila bhi gaya
Parveen Shakir

