اردو हिंदी
Charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya | Shaahi Shayari
charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya

Ghazal

Charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya

Parveen Shakir

;

charagh-e-rah bujha kya ki rahnuma bhi gaya
hawa ke sath musafir ka naqsh-e-pa bhi gaya

main phul chunti rahi aur mujhe KHabar na hui
wo shaKHs aa ke mere shahr se chala bhi gaya

bahut aziz sahi us ko meri dildari
magar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gaya

ab un darichon pe gahre dabiz parde hain
wo tank-jhank ka masum silsila bhi gaya

sab aae meri ayaadat ko wo bhi aaya tha
jo sab gae to mera dard-ashna bhi gaya

ye ghurbaten meri aankhon mein kaisi utri hain
ki KHwab bhi mere ruKHsat hain ratjaga bhi gaya