اردو हिंदी
Humne hi lauTne ka irada nahin kiya | Shaahi Shayari
humne hi lauTne ka irada nahin kiya

Ghazal

Humne hi lauTne ka irada nahin kiya

Parveen Shakir

;

hum ne hi lauTne ka irada nahin kiya
us ne bhi bhul jaane ka wada nahin kiya

dukh oDhte nahin kabhi jashn-e-tarab mein hum
malbus-e-dil ko tan ka labaada nahin kiya

jo gham mila hai bojh uThaya hai us ka KHud
sar zer-e-bar-e-saghar-o-baada nahin kiya

kar-e-jahan hamein bhi bahut the safar ki sham
us ne bhi iltifat ziyaada nahin kiya

aamad pe teri itr o charagh o subu na hon
itna bhi bud-o-bash ko sada nahin kiya