qalib ko apne chhoD ke maqlub ho gae
kya aur koi qalb hai is inqalab mein
Pandit Jawahar Nath Saqi
salik hai garche sair-e-maqamat-e-dil-fareb
jo ruk gae yahan wo maqam-e-KHatar mein hain
Pandit Jawahar Nath Saqi
sikka apna nahin jamta hai tumhaare dil par
naqsh aghyar ke kis taur se jam jate hain
Pandit Jawahar Nath Saqi
ushshaq jo tasawwur-e-barzaKH ke ho gae
aati hai dam-ba-dam ye unhin ko sada-e-qal
Pandit Jawahar Nath Saqi
wo mah jalwa dikha kar hamein hua ru-posh
ye aarzu hai ki nikle kahin dobara chand
Pandit Jawahar Nath Saqi
wusat-e-mashrab-e-rindan ka nahin hai mahram
zahid-e-sada hamein be-sar-o-saman samjha
Pandit Jawahar Nath Saqi
ye risala ishq ka hai adaq tere ghaur karne ka hai sabaq
kabhi dekh is ko waraq waraq mera sina gham ki kitab hai
Pandit Jawahar Nath Saqi

