yahi kanTe to kuchh KHuddar hain sehn-e-gulistan mein
ki shabnam ke liye daman to phailaya nahin karte
Nushur Wahidi
zamana yaad kare ya saba kare KHamosh
hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain
Nushur Wahidi
zindagi parchhaiyan apni liye
aainon ke darmiyan se aai hai
Nushur Wahidi
zindagi qarib hai kis qadar jamal se
jab koi sanwar gaya zindagi sanwar gai
Nushur Wahidi
achcha majburiyon ko kya jaane
ek khilauna KHaridna tha mujhe
Nusrat Gwaliari
hul jaane ka mujhe mashwara dene wale
yaad KHud ko bhi na main aaun kuchh aisa kar de
Nusrat Gwaliari
olte rahte hain nuqush us ke
phir bhi wo shaKHs kam-suKHan hai bahut
Nusrat Gwaliari

