hazar shama farozan ho raushni ke liye
nazar nahin to andhera hai aadmi ke liye
Nushur Wahidi
ek nazar ka fasana hai duniya
sau kahani hai ek kahani se
Nushur Wahidi
KHak aur KHun se ek shama jalai hai 'nushur'
maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai
Nushur Wahidi
kis bebasi ke sath basar kar raha hai umr
insan musht-e-KHak ka ehsas liye hue
Nushur Wahidi
maaz-allah mai-KHane ke aurad-e-sahar-gahi
azan mein kah gaya main ek din ya pir-e-mai-KHana
Nushur Wahidi
main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun
manzilon ki baat hai raste mein kya kahun
Nushur Wahidi
main tinkon ka daman pakaDta nahin hun
mohabbat mein Duba to kaisa sahaara
Nushur Wahidi

