yar ke aage paDha ye reKHta ja kar 'nazir'
sun ke bola wah-wah achchha kaha achchha kaha
Nazeer Akbarabadi
ye jawahir-KHana-e-duniya jo hai ba-ab-o-tab
ahl-e-surat ka hai dariya ahl-e-mani ka sara
Nazeer Akbarabadi
yun to hum kuchh na the par misl-e-anar-o-mahtab
jab hamein aag lagai to tamasha nikla
Nazeer Akbarabadi
yun to hum the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab
jab hamein aag dikhae to tamasha nikla
Nazeer Akbarabadi
zamane ke hathon se chaara nahin hai
zamana hamara tumhaara nahin hai
Nazeer Akbarabadi
aankh bhar ishq aur badan bhar chah
shukr lab bhar gila zaban bhar tha
Nazeer Azad
aabaad hai is dil ka jahan jis ke qadam se
wo mujh ko pukare hai kisi aur jahan se
Nazeer Azad

