tar rakhiyo sada ya-rab tu is mizha-e-tar ko
hum itr lagate hain garmi mein isi KHas ka
Nazeer Akbarabadi
teshe ki kya majal thi ye jo tarashe be sutun
tha wo tamam dil ka zor jis ne pahaD Dha diya
Nazeer Akbarabadi
tha irada teri fariyaad karen hakim se
wo bhi ai shoKH tera chahne wala nikla
Nazeer Akbarabadi
Thaharna ishq ke aafat ke sadmon mein 'nazir'
kaam mushkil tha par allah ne aasan kiya
Nazeer Akbarabadi
the hum to KHud-pasand bahut lekin ishq mein
ab hai wahi pasand jo ho yar ko pasand
Nazeer Akbarabadi
toDe hain bahut shisha-e-dil jis ne 'nazir' aah
phir charKH wahi gumbad-e-minai hai kam-baKHt
Nazeer Akbarabadi
tumhaare hijr mein aankhen hamari muddat se
nahin ye jaantin duniya mein KHwab hai kya chiz
Nazeer Akbarabadi

