karna hai shairi agar 'naushad'
'mir' ka kulliyat yaad karo
Naushad Ali
samne us ke ek bhi na chali
dil mein baaten hazar le ke chale
Naushad Ali
zindagi muKHtasar mili thi hamein
hasraten be-shumar le ke chale
Naushad Ali
shikast o fath miyan ittifaq hai lekin
muqabla to dil-e-na-tawan ne KHub kiya
Navab Mohammad Yar Khan Ameer
dil par teri chup se lagne wala dagh
aisa dagh hai jis ko dho nahin sakta main
Naved Raza
juda hue to judai mein ye kamal bhi tha
ki us se rabta TuTa bhi tha bahaal bhi tha
Naved Raza
main KHud ko dusron se kya juda karun
bahut mila-jula diya gaya mujhe
Naved Raza

