zahir na tha nahin sahi lekin zuhur tha
kuchh kyun na tha jahan mein kuchh to zarur tha
Natiq Gulavthi
zikr-e-sharab-e-nab pe waiz ukhaD gaya
bole the achchhi baat bhale aadmi se hum
Natiq Gulavthi
aazadiyon ka haq na ada hum se ho saka
anjam ye hua ki giraftar ho gae
Natiq Lakhnavi
ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
main ne tamam umr guzari hai is tarah
Natiq Lakhnavi
dil hai kis ka jis mein arman aap ka rahta nahin
farq itna hai ki sab kahte hain main kahta nahin
Natiq Lakhnavi
dil rahe ya na rahe zaKHm bhare ya na bhare
chaarasazon ki KHushamad mujhe manzur nahin
Natiq Lakhnavi
do aalam se guzar ke bhi dil-e-ashiq hai aawara
abhi tak ye musafir apni manzil par nahin aaya
Natiq Lakhnavi

