ah-nawardan-e-wafa manzil pe pahunche is tarah
rah mein har naqsh-e-pa mera banata tha charagh
Natiq Gulavthi
ahti hai shams-o-qamar ko tere sae ki talash
raushni DhunDhti phirti hai andhera tera
Natiq Gulavthi
akhta hai talKH-kaam gham-e-lazzat-e-jahan
kya kijiye ki lutf nahin kuchh gunah ka
Natiq Gulavthi
akkhi hui hai sari KHudai tere liye
haqdar ban ke samne aa mang ya na mang
Natiq Gulavthi
asm-e-talab mein kya hai samajh kar uTha qadam
aa tujh ko hum bataen ki kya mang kya na mang
Natiq Gulavthi
iya-kari ke sajde shaiKH le baiThenge masjid ko
kisi din dekhna ho kar rahegi sar-nigun wo bhi
Natiq Gulavthi
sab ko ye shikayat hai ki hansta nahin 'natiq'
hum ko ye tajjub ki wo giryan nahin hota
Natiq Gulavthi

