sab kuchh mujhe mushkil hai na puchho meri mushkil
aasan bhi ho kaam to aasan nahin hota
Natiq Gulavthi
sar se dayar-e-gham ke sanichar utar de
mangal hai jis mein ja ke wo jangal uTha to la
Natiq Gulavthi
shaiKH jaza-e-kar-e-KHair jo bata raha hai aaj
baat to KHub hai magar aadmi mo'atabar nahin
Natiq Gulavthi
subh-e-piri mein phira sham-e-jawani ka gaya
dil hai wo subh ka bhaTka jo sar-e-sham mila
Natiq Gulavthi
tariq-e-dilbari kafi nahin har-dil-azizi ko
saliqa banda-parwar chahiye banda-nawazi ka
Natiq Gulavthi
to hamein kahta hai diwana ko diwane sahi
pand-go aaKHir tujhe ab kya kahen diwana hum
Natiq Gulavthi
tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe
ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda
Natiq Gulavthi

