ab kahen kis se ki un se baat karna hai gunah
jab kalam aaya zaban par la-kalam aa hi gaya
Natiq Gulavthi
ahl-e-junun pe zulm hai pabandi-e-rusum
jada hamare waste kanTa hai rah ka
Natiq Gulavthi
ai baada-kash gai hai mai-e-aish kis ke sath
har ek ne le ke jam ko aage baDha diya
Natiq Gulavthi
ai dil-e-shikwa-sanj kya guzri
kis liye honT rah gae sil ke
Natiq Gulavthi
ai junun bais-e-bad-haali-e-sahra kya hai
ye mera ghar to nahin tha ki jo viran hota
Natiq Gulavthi
ai nigah-e-mast us ka nam hai kaif-e-surur
aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe
Natiq Gulavthi
ai shab-e-hijran ziyaada panw phailati hai kyun
bhar gaya jitna hamari umr ka paimana tha
Natiq Gulavthi

