dusra aisa kahan ai dasht KHalwat ka maqam
apni virani ko le kar mere virane mein aa
Natiq Gulavthi
dusron ko kya kahiye dusri hai duniya hi
ek ek apne ko hum ne dusra paya
Natiq Gulavthi
gham-o-andoh ka lashkar bhi chala aata hai
ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezan ke qari
Natiq Gulavthi
ghar banane ki baDi fikr hai duniya mein hamein
sahab-e-KHana bane jate hain mehman ho ka
Natiq Gulavthi
gul shor kahan ka hai sun to sahi o zalim
kya hai tere kuche mein kaisa hai ye wawaila
Natiq Gulavthi
guzarti hai maze se waizon ki zindagi ab to
sahaara ho gaya hai din duniya-dar logon ka
Natiq Gulavthi
hangama-e-hayat se lena to kuchh nahin
han dekhte chalo ki tamasha hai rah ka
Natiq Gulavthi

