meri jaanib ko karwaT le ke gar mujh se lipaT jao
abhi dene lage meri tarah tum ko dua karwaT
Munshi Khairati Laal Shagufta
mujh ko rote dekh kar pas aae wo tafhim ko
kyun na dil se dun duaen apne ghain o mim ko
Munshi Khairati Laal Shagufta
na sharmao aankhen mila kar to dekho
mulaqat hai hum se tum se kabhi ki
Munshi Khairati Laal Shagufta
ota hun main tasawwur-e-zulf-e-siyah mein
pani baras raha hai jame hain ghaTa ke rang
Munshi Khairati Laal Shagufta
saf kya ho sohbat-e-zahir se baatin ka ghubar
munh nazar aata nahin aaina-e-taswir mein
Munshi Khairati Laal Shagufta
sarishk-e-chashm dikhate hain garmiyan apni
kami pe jab araq-e-infial hota hai
Munshi Khairati Laal Shagufta
wo hawa-KHwah-e-nasim-e-zulf hun main tira-baKHt
kyun na marqad par kare dud-e-charagh-e-sham raqs
Munshi Khairati Laal Shagufta

