jo tere gunah baKHshega waiz wo mere bhi
kya tera KHuda aur hai bande ka KHuda au
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
kafir ho phir jo shara ka kuchh bhi kare KHayal
jab jam bhar ke hath se yar apne de shara
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
malak-ul-maut moazzin hai mera wasl ki raat
dam nikal jata hai jab waqt-e-azan aata hai
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
na laDao nazar raqibon se
kaam achchha nahin laDai ka
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
qashqa nahin peshani pe us mah-jabin ke
allah ne ye husn ke KHirman ko hai chanka
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
shayad mizaj hum se mukaddar hai yar ka
likkha hai us ne hum ko ba-KHatt-e-ghubar KHat
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
adab baKHsha hai aisa rabt-e-alfaz-e-munasib ne
do-zanu hai meri tab-e-rasa tarkib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta

