us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya
Muneer Shikohabadi
usi hur ki rangat uDi rone se hamare
rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya
Muneer Shikohabadi
ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj
ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat
Muneer Shikohabadi
wahan pahunch nahin saktin tumhaari zulfen bhi
hamare dast-e-talab ki jahan rasai hai
Muneer Shikohabadi
wahshat mein basar hote hain ayyam-e-shabab aah
ye sham-e-jawani hai ki saya hai hiran ka
Muneer Shikohabadi
wird-e-ism-e-zat khola chahta hai ye girah
mere dil par dant hai allah ki tashdid ka
Muneer Shikohabadi
yaad us but ki namazon mein jo aai mujh ko
tapish-e-shauq se har bar mein baiTha uTTha
Muneer Shikohabadi

