ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya
pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro
Mughal Farooq Parwaz
andha tha KHud hi aap ne paigham-e-iltifat
kya baat thi jo aap hi KHud bad-guman hue
Muhammad Ayyub Zauqi
duniya ke is ibrat-KHane mein haalat badalte rahte hain
jo log the kal mashhur-e-jahan hain aaj wahi gumnami mein
Muhammad Ayyub Zauqi
KHuda jaane ye soz-e-zabt hai ya zaKHm-e-nakaami
kabhi hoti na thi sine mein lekin ye jalan pahle
Muhammad Ayyub Zauqi
aste mein mil gae to puchh lete hain mizaj
is se baDh kar aur kya un ki inayat chahiye
Muhammad Ayyub Zauqi
akhte hain jo allah ki qudarat pe bharosa
duniya mein kisi ki wo KHushamad nahin karte
Muhammad Ayyub Zauqi
socha tha un se baat nibhaenge umr bhar
ye aarzu bhi tishna-e-takmil rah gai
Muhammad Ayyub Zauqi

