nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai
kab iltifat tha ki jo KHu-e-sitam gai
Mukhtar Siddiqui
phera bahaar ka to baras do baras mein hai
ye chaal hai KHizan ki jo ruk ruk ke tham gai
Mukhtar Siddiqui
aat ke baad wo subh kahan hai din ke baad wo sham kahan
jo aashufta-sari hai muqaddar us mein qaid-e-maqam kahan
Mukhtar Siddiqui
sahar-e-azal ko jo di gai wahi aaj tak hai musafiri
ai tai karen to pata chale kahan kaun kis ki talab mein hai
Mukhtar Siddiqui
gham na apna na ab KHushi apni
yani duniya badal gai apni
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
gham-o-karb-o-alam se dur apni zindagi kyun ho
yahi jine ka saman hain to phir in mein kami kyun ho
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
ghubar-e-zindagi mein laila-e-maqsud kya mani
wo diwane hain jo is gard ko mahmil samajhte hain
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

