اردو हिंदी
2 Lines Shayari Shayari | Shaahi Shayari

2 Lines Shayari

22761 Shers

tark-e-talluqat ka kuchh un ko gham nahin
hum to shikast-e-ahd-e-wafa se malul hain

Muhammad Ayyub Zauqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


un ki nigah-e-lutf ki tasir kya kahun
zarre ko aaftab bana kar chale gae

Muhammad Ayyub Zauqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


unhen KHuda ka amal sharmsar kar dega
bichha rahe hain jo kanTe kisi ki rahon mein

Muhammad Ayyub Zauqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


wajh-e-sukun na ban sakin husn ki dil-nawaziyan
baDh gain aur uljhanen tum ne jo muskura diya

Muhammad Ayyub Zauqi


Tags: | 2 Lines Shayari |


abhi dikhao na taswir-e-zindagi is ko
ye bachpana hai abhi muskurana chahta hai

Mujahid Faraaz


Tags: | 2 Lines Shayari |


fasad, qatl, tassub, fareb, makkari
safed-poshon ki baaten hain kya bataun main

Mujahid Faraaz


Tags: | 2 Lines Shayari |


mujhe kya mila hai bataun kya
mujhe kya diya hai sunaun kya

Mukesh Alam


Tags: | 2 Lines Shayari |