kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-mudawa
kabhi bijliyon ki KHwahish kabhi fikr-e-ashiyana
Moin Ahsan Jazbi
kya matam un ummidon ka jo aate hi dil mein KHak huin
kya roe falak un taron par dam bhar jo chamak kar TuT gae
Moin Ahsan Jazbi
marne ki duaen kyun mangun jine ki tamanna kaun kare
ye duniya ho ya wo duniya ab KHwahish-e-duniya kaun kare
Moin Ahsan Jazbi
meri arz-e-shauq be-mani hai un ke waste
un ki KHamoshi bhi ek paigham hai mere liye
Moin Ahsan Jazbi
meri hi nazar ki masti se sab shisha-o-saghar raqsan the
meri hi nazar ki garmi se sab shisha-o-saghar TuT gae
Moin Ahsan Jazbi
mile mujh ko gham se fursat to sunaun wo fasana
ki Tapak paDe nazar se mai-e-ishrat-e-shabana
Moin Ahsan Jazbi
muKHtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi
ek sukun-e-dil ki KHatir umr bhar taDpa kiye
Moin Ahsan Jazbi

