yahi zindagi musibat yahi zindagi musarrat
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
Moin Ahsan Jazbi
yun baDhi saat-ba-saat lazzat-e-dard-e-firaq
rafta rafta main ne KHud ko dushman-e-jaan kar diya
Moin Ahsan Jazbi
zabt-e-gham be-sabab nahin 'jazbi'
KHalish-e-dil baDha raha hun main
Moin Ahsan Jazbi
kuchh kamaya nahin bazar-e-KHabar mein rah kar
band dukkan karen be-KHabari pesha karen
Moin Najmi
teri nigah to is daur ki zakat hui
jo mustahiq hai usi tak nahiin pahunchti hai
Moin Shadab
us se milne ki KHushi baad mein dukh deti hai
jashn ke baad ka sannaTa bahut khalta hai
Moin Shadab
aap ki kaun si baDhi izzat
main agar bazm mein zalil hua
Momin Khan Momin

