ye kis ne hum se lahu ka KHiraj phir manga
abhi to soe the maqtal ko surKH-ru kar ke
Mohsin Naqvi
yun dekhte rahna use achchha nahin 'mohsin'
wo kanch ka paikar hai to patthar teri aankhen
Mohsin Naqvi
zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi
meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi
Mohsin Naqvi
and aankhen jab khulin to raushni pahchan li
be-KHabar hum hon to hon par be-basar itne na the
Mohsin Shaikh
hum use anfus o aafaq se rakhte hain pare
sham koi jo tere gham se tahi jati hai
Mohsin Shakeel
agar chaman ka koi dar khula bhi mere liye
sumum ban gai baad-e-saba bhi mere liye
Mohsin Zaidi
ichhaDne walon mein hum jis se aashna kam the
na jaane dil ne use yaad kyun ziyaada kiya
Mohsin Zaidi

