libas badle nahin hum ne mausamon ki tarah
ki zeb-e-tan jo kiya ek hi labaada kiya
Mohsin Zaidi
sunte hain ki aabaad yahan tha koi kumba
aasar bhi kahte hain yahan par koi ghar tha
Mohsin Zaidi
ye zulm dekhiye ki gharon mein lagi hai aag
aur hukm hai makin nikal kar na ghar se aaen
Mohsin Zaidi
aankhon mein shab utar gai KHwabon ka silsila raha
main KHud ko dekhta raha main KHud ko sochta raha
Moid Rashidi
ab is se pahle ki ruswai apne ghar aati
tumhaare shahr se hum ba-adab nikal aae
Moid Rashidi
ai aql nahin aaenge baaton mein teri hum
nadan the nadan hain nadan rahenge
Moid Rashidi
ek hangama shab-o-roz bapa rahta hai
KHana-e-dil mein nihan jaise KHuda rahta hai
Moid Rashidi

