main munaqqash hun teri ruh ki diwaron par
tu miTa sakta nahin bhulne wale mujh ko
Mohsin Ehsan
subh se sham hui ruTha hua baiTha hun
koi aisa nahin aa kar jo mana le mujh ko
Mohsin Ehsan
tanha khaDa hun main bhi sar-e-karbala-e-asr
aur sochta hun mere taraf-dar kya hue
Mohsin Ehsan
ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha
apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha
Mohsin Naqvi
ab tak meri yaadon se miTae nahin miTta
bhigi hui ek sham ka manzar teri aankhen
Mohsin Naqvi
azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'
chalega pani magar kinara nahin chalega
Mohsin Naqvi
chunti hain mere ashk ruton ki bhikaranen
'mohsin' luTa raha hun sar-e-am chandni
Mohsin Naqvi

