qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad
Mohammad Ali Jauhar
sari duniya ye samajhti hai ki saudai hai
ab mera hosh mein aana teri ruswai hai
Mohammad Ali Jauhar
shikwa sayyaad ka beja hai qafas mein bulbul
yan tujhe aap tera tarz-e-fughan laya hai
Mohammad Ali Jauhar
tauhid to ye hai ki KHuda hashr mein kah de
ye banda zamane se KHafa mere liye hai
Mohammad Ali Jauhar
tujh se kya subh talak sath nibhega ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon ka guzarna hai yahi
Mohammad Ali Jauhar
wahi din hai hamari id ka din
jo teri yaad mein guzarta hai
Mohammad Ali Jauhar
dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'
us ko kab e'tibar aata hai
Mohammad Ali Khan Rashki

