kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab
kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera
Mohammad Ahmad Ramz
'ramz' adhure KHwabon ki ye ghaTti baDhti chhanw
tum se dekhi jae to dekho mujh se na dekhi jae
Mohammad Ahmad Ramz
sare imkanat mein raushan sirf yahi do pahlu
ek tera aaina-KHana ek meri hairani
Mohammad Ahmad Ramz
tum aa gae ho to mujh ko zara sambhalne do
abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai
Mohammad Ahmad Ramz
tum aa gae ho tum mujh ko zara sambhalne do
abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai
Mohammad Ahmad Ramz
us ka tarkash KHali hone wala hai
mere nam ka tir hai kitne tiron mein
Mohammad Ahmad Ramz
har sina aah hai tere paikan ka muntazir
ho intiKHab ai nigah-e-yar dekh ka
Mohammad Ali Jauhar

