dil mein ek iztirab baqi hai
ye nishan-e-shabab baqi hai
Mirza Mohammad Taqi Hawas
hum gae the us se karte shikwa-e-dard-e-firaq
muskura kar us ko dekha sab gila jata raha
Mirza Mohammad Taqi Hawas
hamari dekhiyo ghaflat na samjhe wae nadani
hamein do din ke bahlane ko umr-e-be-madar aai
Mirza Mohammad Taqi Hawas
hawas hum par hoen kyunki dariya-e-mohabbat se
qaza ne baadban-e-kashti-e-tadbir ko toDa
Mirza Mohammad Taqi Hawas
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe hasil ho
ek chand baghal mein ho ek chand muqabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
mathe pe laga sandal wo haar pahan nikle
hum khinch wahin qashqa zunnar pahan nikle
Mirza Mohammad Taqi Hawas
na kafir se KHalwat na zahid se ulfat
hum ek bazm mein the ye sab se juda the
Mirza Mohammad Taqi Hawas

