na kaba hi tajalli-gah Thahraya na but-KHana
laDana KHub aata hai tumhein shaiKH o barahman ko
Mirza Mayal Dehlvi
talKHi tumhaare waz mein hai waizo magar
dekho to kis maze ki hai talKHi sharab mein
Mirza Mayal Dehlvi
tauba ke TuTte ka hai 'mail' malal kyun
aisi to hoti rahti hai akasr shabab mein
Mirza Mayal Dehlvi
tumhein samjhaen to kya hum ki shaiKH-e-waqt ho mail
tum apne aap ko dekho aur ek tifl-e-barhaman ko
Mirza Mayal Dehlvi
aashna koi nazar aata nahin yan ai 'hawas'
kis ko main apna anis-e-kunj-e-tanhai karun
Mirza Mohammad Taqi Hawas
ai aaftab hadi-e-ku-e-nigar ho
aae bhala kabhi to hamare bhi kaam din
Mirza Mohammad Taqi Hawas
dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai
Mirza Mohammad Taqi Hawas

