aaya payam-e-wasl yakayak jo yar ka
malum ye hua ki gae din zawal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
asir kar ke hamein hukm de gaya sayyaad
qafas ho tang to un ke na baal-o-par rakhna
Mirza Maseeta Beg Muntahi
azan de ke naqus ko phunk kar
tujhe har tarah kab pukara nahin
Mirza Maseeta Beg Muntahi
aad marne ke Thikane lag gai miTTi meri
KHak se aashiq ki kya kya yar ke saghar bane
Mirza Maseeta Beg Muntahi
aal khole nahin phirta hai agar wo saffak
phir kaho kyun mujhe aashufta-sari rahti hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
osa jo manga bazm mein farmaya yar ne
ye din dahaDe aae hain pagDi utarne
Mirza Maseeta Beg Muntahi
duniya ka mal muft mein chakhne ke waste
hath aaya KHub shaiKH ko hila namaz ka
Mirza Maseeta Beg Muntahi

