oson gai hai pyas kahin dida-e-namin
bujhta hai aansuon se kahan dil phunka hua
Mirza Azfari
qasam mai ki mujh bin hai mere lahu ki
jo hum bin piyo to hamara lahu hai
Mirza Azfari
afu jeb-e-majnun hua kab ai naseh
tu mar jaega us ke site hi site
Mirza Azfari
shitabi apne diwane ko kar band
musalsal zulf se kar ya nazar-band
Mirza Azfari
suni gai mein hui yar se muDbheD aaj
puchho koi kis liye munh pe kar ojhal gaya
Mirza Azfari
tak lagi teri duKHtar se hamari ai tak
aaj shab ji mein hai ghar tere ye damad rahe
Mirza Azfari
tujh bin aur hum ko sujhta hi nahin
aur tu hum ko bujhta hi nahin
Mirza Azfari

